Ye Jeevan
Pal mein rulaye
Toh pal mein hasne ke sau avasar de jaye
Ye Jeevan
Ik pal beeta hue kal ki yaad dilaye
Toh dooje pal beete hua kal ke kabhi na aane ka
Ehsaas dilaye
Ye Jeevan
Kabhi kisi ke saath se nauka paar karaye
Toh kabhi uss saath ko bojh banaye
Ye Jeevan
Kabhi dil ke armaano ko raakh kar jaye
Toh kabhi un armaano ko agan de jaye
Ye Jeevan
Lehron ki dhaar sa kathin raah dikhaye
Aur unhi lehron ke sahare paar le jaye
Ye Jeevan
Kabhi kisi karm par sharm se aankhein jhukaye
Toh kabhi wahi naach nachaye
Ye Jeevan
Safal hone ki chaah mein
Apno se door karaye
Aur safalta ki unchaiyon pe pahochne par
Akelepan ka ehsaas karaye
Ye Jeevan
Shayad, Jeena isi ka naam hai!
Beautiful expression...:)
ReplyDeleteWaah bhai waah! Mujhe toh sab samajh mein aaya haan.
ReplyDeleteThank you Saru!
ReplyDeleteAnd Raya, you can ask you roommate to do the translation :P